kaam mujh se koi hua hi nahin
baat ye hai ki main to tha hi nahin
mujh se bichhDi jo mauj-e-nikhat-e-yar
phir main us shahr mein raha hi nahin
kis tarah tark-e-muddaa kije
jab koi apna muddaa hi nahin
kaun hun main jo raegan hi gaya
kaun tha jo kabhi mila hi nahin
hun ajab aish-e-gham ki haalat mein
ab kisi se koi gila hi nahin
baat hai raste pe jaane ki
aur jaane ka rasta hi nahin
hai KHuda hi pe munhasir har baat
aur aafat ye hai KHuda hi nahin
dil ki duniya kuchh aur hi hoti
kya kahen apna bas chala hi nahin
ab to mushkil hai zindagi dil ki
yani ab koi majra hi nahin
har taraf ek hashr barpa hai
'jaun' KHud se nikal ke ja hi nahin
mauj aati thi Thaharne ki jahan
ab wahan KHema-e-saba hi nahin
Ghazal
Kaam mujhse koi hua hi nahin
Jaun Eliya