kaam kuchh aise kar gaya hun main
apni aankhon ko bhar gaya hun main
zindagi tujh se baat karni hai
zindagi tujh se Dar gaya hun main
ab to main aur bhi bura hun ki
ab ziyaada sudhar gaya hun main
us se kah do ki wo nahin roe
us se kah do ki mar gaya hun main
yan to koi hawa nahin aati
ye kahan par bikhar gaya hun main
zat puchho to ek shair hun
apni hi zat par gaya hun main
Ghazal
Kaam kuchh aise kar gaya hun main
Tarkash Pradeep