kaam kuchh aa na saki rasm-e-shanasai bhi
shamil-e-bazm thi shayad meri tanhai bhi
kash tu apni talab mein kabhi pahunche mujh tak
tera hi aaina hai chashm-e-tamashai bhi
sahl mat samjho mere shauq ki nakaami ko
muft milti hai kahin izzat-e-ruswai bhi
chashm-e-be-KHwab mein hai KHwab ki surat ek shaKHs
KHud se ghafil bhi hai aur mahw-e-KHud-arai bhi
KHair main to isi qabil tha magar ye to bata
zindagi kya tu kisi ko kabhi ras aai bhi

Ghazal
Kaam kuchh aa na saki rasm-e-shanasai bhi
Mushfiq Khwaja