اردو हिंदी
Kaam ki baat maine ki hi nahin | Shaahi Shayari
kaam ki baat maine ki hi nahin

Ghazal

Kaam ki baat maine ki hi nahin

Jaun Eliya

;

kaam ki baat main ne ki hi nahin
ye mera taur-e-zindagi hi nahin

ai umid ai umid-e-nau-maidan
mujh se mayyat teri uThi hi nahin

main jo tha us gali ka mast-e-KHiram
us gali mein meri chali hi nahin

ye suna hai ki mere kuch ke baad
us ki KHushbu kahin basi hi nahin

thi jo ek faKHta udas udas
subh wo shaKH se uDi hi nahin

mujh mein ab mera ji nahin lagta
aur sitam ye ki mera ji hi nahin

wo jo rahti thi dil-mohalle mein
phir wo laDki mujhe mili hi nahin

jaiye aur KHak uDaiye aap
ab wo ghar kya ki wo gali hi nahin

hae wo shauq jo nahin tha kabhi
hae wo zindagi jo thi hi nahin