kaam itne hain ki aaram nahin jaante hain
log ye sab se aham kaam nahin jaante hain
facebook par hain mere jaanne wale lakhon
mere ham-sae mera nam nahin jaante hain
ishq mein zehn ko taklif na di dil ki suni
hum usi waste anjam nahin jaante hain
hamein bas itna pata hai ki KHuda hota hai
hum in aqsam ki aqsam nahin jaante hain
sab ne cigarette ki tarah munh se laga li duniya
hai nasha itna ki anjam nahin jaante hain
de to sakte hain sabhi jaan KHuda ki KHatir
par KHudawand ke ahkaam nahin jaante hain
main ki logon mein bahut kam hi raha hun 'zishan'
is liye log mujhe aam nahin jaante hain
Ghazal
Kaam itne hain ki aaram nahin jaante hain
Zeeshaan sajid