اردو हिंदी
Kaam is duniya mein aa kar humne kya achchha kiya | Shaahi Shayari
kaam is duniya mein aa kar humne kya achchha kiya

Ghazal

Kaam is duniya mein aa kar humne kya achchha kiya

Sahir dehlavi

;

kaam is duniya mein aa kar hum ne kya achchha kiya
husn ko be-parda nam-e-ishq ko ruswa kiya

husn ne aur ishq ne hangama ek barpa kiya
shama ko raushan kiya parwane ko shaida kiya

be-tamannai mein aasuda tha yarab kya kiya
kis liye mere dil-e-diwana ko dana kiya

ek jazba tha azal se gosha-e-dil mein nihan
ishq ko is husn ke bazar ne ruswa kiya

teri qismat ka nawishta tha kisi ka kya qusur
tere aage aa gaya a dil jo tha tera kiya

nar ne ki sar-kashi roz-e-azal jab iKHtiyar
KHak ko baKHsha sharaf yani bashar paida kiya

dil ko parwana banaya kar diya jaan ko nisar
shama-ru ke ishq mein hum kya kahen kya kya kiya

jo kiya hukm-e-qaza se hum ne 'sahir' tha baja
hum ne apni rae se jo kuchh kiya be-ja kiya