kaam himmat se jawan mard agar leta hai
sanp ko mar ke ganjina-e-zar leta hai
na-gawara ko jo karta hai gawara insan
zahr pi kar maza-e-shir-o-shakar leta hai
haale mein mah ka hota hai chakoron ko yaqin
kabhi angDai jo wo rashk-e-qamar leta hai
wo zubun-baKHt shajar hun main ki dahqan mera
pichhe bota hai mujhe pahle tabar leta hai
manzil-e-faqr-o-fana ja-e-adab hai ghafil
baadshah taKHt se yan apne utar leta hai
ganj-e-pinhan hain tasarruf mein bani-adam ke
kan se lal ye dariya se guhar leta hai
nazar aa jata hai ai gul jise ruKHsar tera
phulon se daman-e-nazzara wo bhar leta hai
aql kar deti hai insan ki jahaalat zail
maut se jaan chhupane ko sipar leta hai
yaad rakhta hai adam mein koi saghar-kash use
hichkiyan shisha-e-mai sham-o-sahar leta hai
ghairat-e-nala-o-fariyaad na kho ai 'atish'
aashna koi nahin kaun KHabar leta hai
Ghazal
Kaam himmat se jawan mard agar leta hai
Haidar Ali Aatish