kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise
ab kisi se koi shikwa na gila ho jaise
umr-bhar ishq ko gham-dida na rakkhe kyunkar
hadisa wo ki abhi kal hi hua ho jaise
ek muddat hui dekha tha jise pahle-pahal
tere chehre mein wahi chehra chhupa ho jaise
husn ke bhed ka pa lena nahin hai aasan
hai ye wo raaz ki raazon mein pala ho jaise
dur tak ek nigah ja ke Thahar jati hai
waqt ka fasla kuchh DhunD raha ho jaise
yaad-e-mazi se ye afsurda si raunaq dil mein
aaKHir-e-shab koi darwaza khula ho jaise
hazl ko log 'sahar' aaj ghazal kahte hain
zauq-e-sheri pe bura waqt paDa ho jaise
Ghazal
Kaam har zaKHm ne marham ka kiya ho jaise
Abu Mohammad Sahar