kaam diwanon ko shahron se na bazaron se
mast hain aalam-e-ijad ke nazzaron se
zulfen bal khati hain ya jhumti hai kali ghaTa
barish-e-nur hai har su tere ruKHsaron se
wan naqab uTThi yahan chandni ne khet kiya
kaT gai zulmat-e-shab chand se ruKHsaron se
dekhta rah gaya aaina kisi ki surat
zulfen aTkheliyan karti rahin ruKHsaron se
dekhen kis tarah basar hote hain ayyam-e-junun
yan to hai samna har dam inhin gham-KHwaron se
hath uljha hai gareban mein khaDe dekhte hain
aur ummid koi kya kare gham-KHwaron se
kashish-e-dasht-e-bala hubb-e-watan daman-gir
aaj ghar chhuTta hai pahle-pahal aawaron se
marte dam tak teri talwar ka dam bharte rahe
haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se
be-dhaDak pichhle pahar nala-o-shewan na karen
kah de itna to koi taza-giraftaron se
mausam-e-gul nahin paigham-e-ajal tha sayyaad
dekh KHali hai qafas aaj giraftaron se
kya bura haal hai angDaiyan lete lete
saqiya naz ab achchha nahin mai-KHwaron se
kanpte hathon se saghar ko bachaya to bahut
kya kahen KHud hi na sambhla gaya mai-KHwaron se
sar ko Takra ke gaya hai koi sahra ki taraf
KHun sabit hai abhi shahr ki diwaron se
eDiyan wadi-e-ghurbat mein ragaDte hi rahe
dur khinchti gai manzil watan-awaron se
kan mein pichhle pahar aai ek aawaz-e-hazin
ab to gham-KHwar bhi diq hain tere bimaron se
jhilmilane laga jab 'yas' charagh-e-sahari
phir to Thahra na gaya hijr ke bimaron se
Ghazal
Kaam diwanon ko shahron se na bazaron se
Yagana Changezi