kaam agar hasb-e-muddaa na hua
tera chaha hua bura na hua
KHak uDti jo hum KHuda hote
bandagi ka bhi haq ada na hua
sab jataya kiye niyaz-e-qadim
wo kisi ka bhi aashna na hua
raKHsh-e-ayyam ko qarar kahan
idhar aaya udhar rawana hua
kya khule jo kabhi na tha pinhan
kyun mile jo kabhi juda na hua
saKHt fitna jahan mein uThta
koi tujh sa tere siwa na hua
jo gadha KHu-e-bad ki daldal mein
ja phansa phir kabhi riha na hua
tu na ho ye to ho nahin sakta
mera kya tha hua hua na hua
rah-raw-e-maslak-e-tawkkul hai
wo jo muhtaj ghair ka na hua
Ghazal
Kaam agar hasb-e-muddaa na hua
Ismail Merathi