kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siwa
bais-e-rashk hai tanha-rawi-e-rah-raw-e-shauq
ham-safar koi nahin duri-e-manzil ke siwa
hum ne duniya ki har ek shai se uThaya dil ko
lekin ek shoKH ke hangama-e-mahfil ke siwa
tegh munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
be-gunah kaun hai us shahr mein qatil ke siwa
jaane kis rang se aai hai gulistan mein bahaar
koi naghma hi nahin shor-e-salasil ke siwa
Ghazal
Kaam ab koi na aaega bas ek dil ke siwa
Ali Sardar Jafri