kaam aai ishq ki diwangi kal raat ko
husn ne baKHshi mata-e-dosti kal raat ko
qamat-e-dilkash libas-e-surKH mein thi mehman
mere ghar ek surKH maKHmal ki pari kal raat ko
tamtamae gal bhige honT chashm-e-nim-wa
thi mujassam jaise meri shairi kal raat ko
wo mere shana-ba-shana sahn mein mahw-e-KHiram
chand ke pahlu mein jaise chandni kal raat ko
narm banhon se mere shanon se kuchh sazish hui
paD gai gardan mein moti ki laDi kal raat ko
shab ke sannaTe mein paiman-e-wafa bandhe gae
kuchh nae wadon ne ki jadugari kal raat ko
har ghaDi 'sufi' nashat-angez lamhon mein kaTi
zindagi thi dar-haqiqat zindagi kal raat ko
Ghazal
Kaam aai ishq ki diwangi kal raat ko
Saghir Ahmad Sufi