kala jadu phail raha hai
aur KHuda KHamosh khaDa hai
kale sae nach rahe hain
chaar taraf pur-shor hawa hai
aag dikha kar jalne walo
kis ki aag mein kaun jala hai
sans bhi tum lete ho kyun-kar
uff kitni masmum hawa hai
lakhon bheDen dauD rahi hain
ek gaDariya hank raha hai
raqs-kunan hun ek rassi par
aur tawazun bigaD raha hai
main raste ko DhunD raha hun
rasta mujh ko DhunD raha hai
kaun hai ye betab jo kab se
raste mein chup-chap khaDa hai

Ghazal
Kala jadu phail raha hai
Pritpal Singh Betab