kakul ki tarah baKHt bhi bal khae hue hai
kyun aaj muqaddar mujhe uljhae hue hai
zanjir-e-mehan panw mein pahnae hue hai
ya jalwa-e-jaanan mujhe bahlae hue hai
le jae mujhe su-e-chaman ab na bahaaran
dil qismat-e-zindan ki qasam khae hue hai
main band qafas mein hun magar fikr-e-nasheman
sine mein jigar dard se barmae hue hai
suljhegi na mashshatagi-e-aql-o-KHirad se
wo zulf-e-junun jis ko ki uljhae hue hai
us ko bhi to mil jae zara husn ka sadqa
daman talab-e-dar pe jo phailae hue hai
ai 'nur' mujhe kuchh to bharosa hai zaban par
kuchh baKHt-e-saadat mujhe garmae hue hai
Ghazal
Kakul ki tarah baKHt bhi bal khae hue hai
Noor Mohammad Noor