اردو हिंदी
Kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se | Shaahi Shayari
kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se

Ghazal

Kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se

Iqbal Kausar

;

kahish-e-gham ne jigar KHun kiya andar se
hum ne bahar bhi yahi zahr piya andar se

zinda lagta hun to ye fan hai mere sahir ka
in nigahon ne mujhe khinch liya andar se

wo bhi ro ro ke bujha Dala hai ab aankhon ne
raushni deta tha jo ek diya andar se

mizha-e-multafit-e-yar hai badnam abas
us ne to dil ka bas ek chaak siya andar se

koi bahar bhi to dekhe meri gulgun ashk
dil ki pur-KHuni ne kya rang kiya andar se