kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai
jo lamha is zat ke andar ruk jata hai
suraj din bhar zahr ugalta rahta hai
chand ka zoam bhi raat ke andar ruk jata hai
pahle sans jama deta hai honTon par
phir wo apni ghat ke andar ruk jata hai
nikal nahin sakta dharti ka banjar-pan
jo qatra barsat ke andar ruk jata hai
harf ka dip hawa se kaise uljhega
ye nuqta har baat ke andar ruk jata hai
hijr ka mausam KHamoshi aur raat ka Dar
yaadon ki baraat ke andar ruk jata hai
Ghazal
Kaghaz qalam dawat ke andar ruk jata hai
Aasnath Kanwal