kaghaz pe tera naqsh utara nahin gaya
mujh se koi KHayal sanwara nahin gaya
mil ke laga hai aaj zamane Thahar gae
tujh se bichhaD ke waqt guzara nahin gaya
tufan mein bhi Dub na pai meri ana
Duba magar kisi ko pukara nahin gaya
KHushiyon ke qahqahe hain har ek samt gunjte
lagta hai koi shahr mein mara nahin gaya
insan wahshiyon ki tarah hain ki aaj tak
mafhum zindagi ka ubhaara nahin gaya
aaraish-e-jamal kisi kaam ki nahin
ru-e-amal ko jab ki nikhaara nahin gaya
Ghazal
Kaghaz pe tera naqsh utara nahin gaya
Tahira Jabeen Tara