kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai
haalat ke shane pe culture ka janaza hai
milne ki guzarish par mubham sa jawab aaya
chunki hai chunanche hai garche hai lihaza hai
ab ghar ke dariche mein aaegi hawa kaise
aage bhi plaza hai pichhe bhi plaza hai
tum aqd-e-musalsal se dada ko nahin roko
shadi ki zarurat to fitrat ka taqaza hai
daulat ka zara sa bhi izzat se nahin rishta
allah ne leader ko daulat se nawaza hai
mear-e-imarat se sheron ko nahin napo
roTi meri basi hai lahja mera taza hai
Ghazal
Kaghaz ki paleTon mein khane ka taqaza hai
Khalid Irfan