kafir hun sar-phira hun mujhe mar dijiye
main sochne laga hun mujhe mar dijiye
hai ehtiram-e-hazrat-e-insan mera din
be-din ho gaya hun mujhe mar dijiye
main puchhne laga hun sabab apne qatl ka
main had se baDh gaya hun mujhe mar dijiye
karta hun ahl-e-jubba-o-dastar se sawal
gustaKH ho gaya hun mujhe mar dijiye
KHushbu se mera rabt hai jugnu se mera kaam
kitna bhaTak gaya hun mujhe mar dijiye
malum hai mujhe ki baDa jurm hai ye kaam
main KHwab dekhta hun mujhe mar dijiye
zahid ye zohd-o-taqwa-o-parhez ki rawish
main KHub jaanta hun mujhe mar dijiye
be-din hun magar hain zamane mein jitne din
main sab ko manta hun mujhe mar dijiye
phir us ke baad shahr mein nachega hu ka shor
main aaKHiri sada hun mujhe mar dijiye
main Thik sochta hun koi had mere liye
main saf dekhta hun mujhe mar dijiye
ye zulm hai ki zulm ko kahta hun saf zulm
kya zulm kar raha hun mujhe mar dijiye
zinda raha to karta rahunga hamesha pyar
main saf kah raha hun mujhe mar dijiye
jo zaKHm banTte hain unhen zist pe hai haq
main phul banTta hun mujhe mar dijiye
barud ka nahin mera maslak darud hai
main KHair mangta hun mujhe mera dijiye
Ghazal
Kafir hun sar-phira hun mujhe mar dijiye
Ahmad Farhad