اردو हिंदी
Kafir hun gar kisi ko diwana jaanta hun | Shaahi Shayari
kafir hun gar kisi ko diwana jaanta hun

Ghazal

Kafir hun gar kisi ko diwana jaanta hun

Joshish Azimabadi

;

kafir hun gar kisi ko diwana jaanta hun
ahwal-e-qais ka bhi afsana jaanta hun

ai shola-ru zabani hai teri garm-joshi
main KHub rabt-e-sham-o-parwana jaanta hun

jam-e-sharab ka main kahe ko multaji hun
aankhon ko teri saqi paimana jaanta hun

kunj-e-qafas ko saunpa roz-e-azal qaza ne
ne dam jaanta hun ne dana jaanta hun

rahta hun mast har dam yaad-e-nigah mein us ki
kafir hun gar main rah-e-mai-KHana jaanta hun

tere kunisht se main waqif nahin barahman
apne harim-e-dil ko but-KHana jaanta hun

sauda-e-ishq jab se mujh ko hua hai 'joshish'
aabaadi-e-jahan ko virana jaanta hun