kafir hue sanam hum din-dar teri KHatir
tasbih toD bandha zunnar teri KHatir
gul sina-chaak bulbul nalan chaman mein dekhi
aankhon ke dukh se nargis bimar teri KHatir
abru ki tu ishaarat jis ki taraf kare tha
chalti thi mujh mein us mein talwar teri KHatir
main jhuT sach bhi yak-dam aansu na un ke ponchhe
jo chashm roz-o-shab hain KHun-bar teri KHatir
sab aashnaon se hum begana ho rahe the
ab zindagi hai apni dushwar teri KHatir
masjid mein mai-kade mein kya kaifi aur sufi
behosh teri KHatir hoshyar teri KHatir
jo rah-e-ashiqi mein thi pasti-o-bulandi
wo hum ne ki sarasar hamwar teri KHatir
pathra gai hain aankhen anjum ki tarah har shab
bedar rahte rahte ai yar teri KHatir
is abr mein chaman ne kya kya kiya hai saqi
asbab mai-kashi ka tayyar teri KHatir
har ghuncha hai gulabi har gul hai saghar-e-mai
mai-KHana ho raha hai gulzar teri KHatir
aage to kucha-gardi shewa na tha 'muhib' ka
ki ab shurua us ne na-chaar teri KHatir
Ghazal
Kafir hue sanam hum din-dar teri KHatir
Waliullah Muhib