kaf se nun talak shor macha wahshat hai
yani is ahd mein jo kuchh bhi hua wahshat hai
la-makani mein makan hosh-o-KHirad ke nahin hain
yun samajh le ki KHalaon ka KHuda wahshat hai
wo jo ek baat hai jo tujh ko batai na gai
wo jo ek raaz hai jo khul na saka wahshat hai
ab mera aks kisi taur nahin TuTega
mere darwesh ke honThon ki dua wahshat hai
mere maula se aqidat ki jaza hai jannat
mere maula se mohabbat ki jaza hai wahshat hai
mere baalon mein bhi miTTi hai tere kuche ki
mere daman se bhi raazi-ba-raza wahshat hai
naql karta hai meri hosh mein aa diwane
mere andaz churane ko saza wahshat hai

Ghazal
Kaf se nun talak shor macha wahshat hai
Naeem Sarmad