اردو हिंदी
Kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage | Shaahi Shayari
kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage

Ghazal

Kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage

Chitransh Khare

;

kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage
sab bahut nafrat se kyun hum par nazar karne lage

tere har lamhe ka hum ne aaj tak rakkha hisab
ye alag hai baat KHud ko be-KHabar karne lage

zindagi ko alwidaa kah kar chala jaunga main
jab meri tanhai mujh ko dar-ba-dar karne lage

mulk ki barbaadiyan us waqt tai ho jaengi
jab buri tahzib bachchon par asar karne lage

ya-KHuda rah-e-wafa par rahbari karna meri
jab mujhe gumrah mera ham-safar karne lage

chhoD kar us waqt ohde KHud chala jaunga main
shak jahan koi mere iman par karne lage

ishq ke us moD ko sab log kahte hain junun
dil kisi ko yaad jab sham-o-sahar karne lage