kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se
aae hain phir ke yaro ab ke KHuda ke han se
taswir ke se tair KHamosh rahte hain hum
ji kuchh uchaT gaya hai ab nala o fughan se
jab kaundti hai bijli tab jaanib-e-gulistan
rakhti hai chheD mere KHashak-e-ashiyan se
kya KHubi us ke munh ki ai ghuncha naql kariye
tu to na bol zalim bu aati hai wahan se
aankhon hi mein rahe ho dil se nahin gae ho
hairan hun ye shoKHi aai tumhein kahan se
sabzan-e-bagh sare dekhe hue hain apne
dilchasp kahe ko hain us bewafa jawan se
ki shust-o-shobadan ki jis din bahut si un ne
dhoe the hath main ne us din hi apni jaan se
KHamoshi hi mein hum ne dekhi hai maslahat ab
har yak se haal dil ka muddat kaha zaban se
itni bhi bad-mizaji har lahza 'mir' tum ko
uljhaw hai zamin se jhagDa hai aasman se
Ghazal
Kabe mein jaan-ba-lab the hum duri-e-butan se
Mir Taqi Mir