kaba o dair mein jalwa nahin yaksan un ka
jo ye kahte hain TaTole koi iman un ka
justuju ke liye niklega jo KHwahan un ka
ghar bata dega koi mard-e-musalman un ka
tu ne didar ka jin jin se kiya hai wada
hae re un ki KHushi hae re arman un ka
apne miTne ka sabab main bhi bata dun ai shauq
kash chhu jae meri KHak se daman un ka
chhoD kar aae hain jo subh-e-watan si shai ko
martaba kuchh to samajh sham-e-ghariban un ka
jin ki aaghosh-e-tasawwur mein hai wo hur jamal
kahin sach ho na yahi KHwab-e-pareshan un ka
jo is uljhao ke KHud hain mutamanni dil se
kya bigaDegi teri zulf-e-pareshan un ka
sar mein sauda-e-KHirad panw mein zanjir-e-shukuk
bhed paega na is shakl se insan un ka
hum dua den tujhe dil khol ke ai pahlu-e-tang
TuT kar sine mein rah jae jo paikan un ka
chaak karne ka hai ilzam mere sar nahaq
hath un ke hain hum un ke hain gareban un ka
wo miTa kyun nahin dete mujhe hairat to ye hai
un ke kahne mein hai dil dil mein hai arman un ka
un shahidan-e-mohabbat mein to main saf kahun
koi itna nahin pakDe jo gareban un ka
wahi aise hain ki KHamosh hain sab ki sun kar
sab ko dawa hai ki hun banda-e-farman un ka
pahle hum niyat-e-KHalis se wazu to kar len
Thahar ai KHak Thahar pak hai daman un ka
chahen dozaKH mein utaren ki jagah KHuld mein den
daKHl kya ghair ko ghar un ke hain mehman un ka
kahin paiwand ki koshish kahin tadbir-e-rafu
jama-e-tan se bahut tang hai uryan un ka
kijiye shana o aaina ki haalat pe nigah
sina-sad-chaak koi hai koi hairan un ka
man lo panw se zanjir bhi utri lekin
bhag kar jae kahan qaidi-e-zindan un ka
jin shahidon ne ba-sad-dard taDap kar di jaan
chhin gaya hath se jita hua maidan un ka
hum to kya chiz hain jibril to ja len un tak
rok leta hai farishton ko bhi darban un ka
mast jate hain KHarabaat se masjid ki taraf
rah pur-shor hai allah nigah-ban un ka
hum shab-e-hijr ke jage na qayamat mein uThen
jab talak KHwab se chaunkae na arman un ka
wahm tu hi KHalal-andaz hua hai warna
kaun juya nahin ai rahzan-e-iman un ka
din qayamat ka Dhala sab ne muraden pain
rah gaya dekh ke munh taba-e-farman un ka
marne walon ka agar sath diya pura kar
le janaza bhi uTha hasrat o arman un ka
haq jatate hain shahidan-e-mohabbat bekar
kya ye marna tha baDa kar-e-numayan un ka
'shad' ghabra gaya ek umr se jite jite
wo bula len mujhe is waqt to ehsan un ka
Ghazal
Kaba o dair mein jalwa nahin yaksan un ka
Shad Azimabadi