kaba-e-dil ko agar Dhaiyega
yaad rakhiye ki saza paiyega
yaad mein meri jo ghabraiyega
meri turbat pe chale aaiyega
thoDi taklif sahi aane mein
do ghaDi baiTh ke uTh jaiyega
yaad dilwa ke wo agli baaten
bhari mahfil mein na rulwaiyega
haal-e-dil kahiye to farmate hain
bakte bakte mera sar khaiyega
yak zara aap ko hum dekh to len
baiThiye baiThiye phir jaiyega
ye 'haqir' aap se Darne ka nahin
aankhen bas ghair ko dikhlaiyega
Ghazal
Kaba-e-dil ko agar Dhaiyega
Haqeer