juzw-o-kul ka hum is andaz se rishta samjhe
dekh kar qatre ko mahiyyat-e-dariya samjhe
har ada teri ham-ahang thi dil se itni
har ada ko teri hum dil ka taqaza samjhe
hum wo KHud-bin hain ki hangama-e-dil ke aage
sare hangama-e-giti ko tamasha samjhe
hum ko miTTi ke gharondon ki haqiqat malum
jism ki KHak ko hum nafs ka saya samjhe
hum ki har nisbat-e-mauhum ko apnate rahe
ek shikasta se talluq ko bhi kitna samjhe
ustuwar itna hua rishta-e-awaz 'akbar'
dil ki dhaDkan ko bhi hum dost ka lahja samjhe
Ghazal
Juzw-o-kul ka hum is andaz se rishta samjhe
Akbar Haidri