اردو हिंदी
Juz qurbat-e-jaan parda-e-jaan koi nahin tha | Shaahi Shayari
juz qurbat-e-jaan parda-e-jaan koi nahin tha

Ghazal

Juz qurbat-e-jaan parda-e-jaan koi nahin tha

Iftikhar Shafi

;

juz qurbat-e-jaan parda-e-jaan koi nahin tha
wo tha to wahan aur jahan koi nahin tha

tha ek KHayal aur KHayal-e-ruKH-e-jaanan
wo wahima-e-wahm-o-guman koi nahin tha

ek saat-e-sad-sal mein Thahra tha kahin dil
phir qafila-e-umr-e-rawan koi nahin tha

tha koi wahan jo hai yahan bhi hai wahan bhi
jo hun main yahan hun main wahan koi nahin tha

sad-shukr zamane ko na tha gosh-e-samaat
hum ko bhi magar rabt-e-zaban koi nahin tha