juz nihaal-e-arzu sine mein kya rakhta hun main
koi bhi mausam ho ye pauda hara rakhta hun main
warna kya bandhan hai hum mein kaun si zanjir hai
bas yunhi tujh par meri jaan man sa rakhta hun main
kar-e-duniya ko bhi kar-e-ishq mein shamil samajh
is liye ai zindagi teri pata rakhta hun main
main kisi mushkil mein tujh ko dekh sakta hun bhala
dil-girafta kis liye hai dil baDa rakhta hun main
be-niyazi KHu sahi teri magar ye dhyan rakh
lauT jaane ka abhi ek rasta rakhta hun main
Ghazal
Juz-nihaal-e-arzu sine mein kya rakhta hun main
Shakeel Jazib