juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho
tum bhi hue ho kashif-e-asrar kuchh kaho
shisha kahin se lao sharab-e-farang ka
baqi jo thi hikayat-e-dildar kuchh kaho
jaane bhi do taghayyur-e-alam ki dastan
kis haal mein hai nargis-e-bimar kuchh kaho
baadal uThe hain chashmak-e-barq-o-sharar hai
munh dekhte ho surat-e-diwar kuchh kaho
mutrib ko taza bait sikhao hua hai narm
guzre kisi tarah to shab-e-tar kuchh kaho
Thahra hua hai wadi-e-gham mein ramida waqt
samjho bhi kuchh nazakat-e-bisyar kuchh kaho
zinda-dilan-e-shauq ne rakkha bahaar nam
ek mauj-e-KHun gai sar-e-gulzar kuchh kaho
aaghaz har taghayyur-e-alam ki had hua
us ki gali ka saya-e-diwar kuchh kaho
uljhega aaj ji ki hawa pech pech hai
banta nahin koi ruKH-e-guftar kuchh kaho
Ghazal
Juyan-e-taza-kari-e-guftar kuchh kaho
Aziz Hamid Madni