jun zarra nahin ek jagah KHak-nashin hum
ai mahr-e-jahan-tab jahan tu hai wahin hum
shab halqa-e-rindan mein ajab sair thi saqi
saghar ko samajhte the mah-e-haala-nashin hum
sete hain sada rashk-e-atu-e-qalami dekh
har tar-e-sarishk apne se daman-e-zamin hum
ai rashk-e-nasim-e-sahari kyun hai mukaddar
gulshan mein tujhe dekhte hain chin-ba-jabin hum
barpa na kahin kije ab shor-e-qayamat
wahshat-zada ai KHana-e-zanjir nahin hum
sar-rishta rah-e-ishq ka ab hath laga hai
jun dana-e-tasbih na Thahrenge kahin hum
le kar mah-o-KHurshid ki phir tegh-o-sipar ko
ai charKH tujhe jaante hain bar-sar-e-kin hum
yak dast uTha lewenge is safha-e-dil par
naqsh-e-qadam-e-yar ko jun naqsh o nagin hum
isa-nafas ab jald pahunch tu ki hain tujh bin
mehman koi dam ke dam-e-baz-pasin hum
kho baiThe hain us ishq ke hathon se 'nasir' ab
hosh-o-KHirad o sabr-o-qarar o dil-o-din hum
Ghazal
Jun zarra nahin ek jagah KHak-nashin hum
Shah Naseer