jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
sar rakha zanu pe main hath jigar par rakkha
hum ko sayyaad ne rakkha jo qafas mein to aah
dast-e-shafqat kabhi zalim ne na sar par rakkha
sang-e-rah us ki gali ka jo koi hath aaya
misl-e-gul main ne uTha kar use sar par rakkha
baiThe baiThe tujhe kaun aa gaya yaad aaj 'kamal'
tu ne rumal jo le dida-e-tar par rakkha

Ghazal
Jun qadam yar ne ghar se mere dar par rakkha
Shah Kamaluddin Kamal