jun ibrat-e-kor jalwa-gar hun
albatta kuchh hun main par kidhar hun
jun shisha bhara hun mai se lekin
masti se main apni be-KHabar hun
jo kahiye so yan se hai farautar
kya jaane main kis maqam par hun
ai sabr tanik tu rah ki tujh se
do-chaar qadam main peshtar hun
chal daman o aastin tujhe kya
lab-KHushk hun ya main chashm-tar hun
ai baKHt-e-said teri daulat
ek yumn-e-qadam se hun jidhar hun
parwane ki shab ki sham hun main
ya roz ki shama ki sahar hun
ji mange hai KHush-dili ko 'qaem'
tu baiTh ke ro main nauhagar hun
Ghazal
Jun ibrat-e-kor jalwa-gar hun
Qayem Chandpuri