jun gul tu hanse hai khil-khila kar
shabnam ki tarah mujhe rula kar
mehman ho ya ki yan tu aa kar
ya rakh mujhe apne han bula kar
dar par tere hum ne KHak chhani
naqd-e-dil KHak mein mila kar
manus na tha wo but kisu se
Tuk ram kiya KHuda KHuda kar
kin ne kaha aur se na mil tu
par hum se bhi kabhu mila kar
go zist se hain hum aap bezar
itna pe na jaan se KHafa kar
kuchh be-asron ko bhi asar ho
itni to bhala 'asar' dua kar
Ghazal
Jun gul tu hanse hai khil-khila kar
Meer Asar