jun chaman ke dekh bulbul KHush hua
bolte har phul par mazmun-nawa
yun hawas le dil pe viran bagh ke
bis baDi par kare kaga kawa
u he qane phul ke yak bas par
u na samajya ang bhar laya chuwa
chaal ikas ki na yak kun aaegi
is suKHan par hanste hans bolya kawa
han are taqlid sun ho dur ba-yak
nin musalmani mein taqlidi rida
aah us bhuke pe sau afsos hai
nan kachi hai talag phuTe tawa
mil ke uchh har haal mein 'bahri' are
narm sun jun mom saKHti sun lahwa
Ghazal
Jun chaman ke dekh bulbul KHush hua
Qazi Mahmud Behri