اردو हिंदी
Ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main | Shaahi Shayari
ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main

Ghazal

Ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main

Aftab Shamsi

;

ju-e-rawan hun Thahra samundar nahin hun main
jo nasb ho chuka ho wo patthar nahin hun main

suraj ka qahr dekhiye mujh par ki aaj tak
KHud apne sae ke bhi barabar nahin hun main

main pighla ja raha hun badan ke alaw mein
aur kah raha hun mom ka paikar nahin hun main

miTTi safar ki pairon mein aankhon mein ek KHwab
Thahrun kahan ki mil ka patthar nahin hun main

din bhar ki bhuki pyasi chali aa rahi hai raat
kis dil se uzr kar dun ki ghar par nahin hun main

buDhi riwayaton se bhare ek shahr mein
yun bas gaya hun jaise ki be-ghar nahin hun main