ju-e-kam-ab se ek tez sa jharna hua main
teri jaanib hun rawan shor machata hua main
mujh se KHali nahin ab ek bhi zarra hai yahan
dekh ye tang zamin aur ye phaila hua main
dekh kar wusat-e-sahra-e-tapan larzan hun
sahil-e-dida-e-namnak pe Thahra hua main
pa-ba-zanjir idhar tez hua aur udhar
KHak ke taKHt pe sultan sa baiTha hua main
koi KHurshid sa duniya pe chamakta hua tu
kisi diwar se saya sa nikalta hua main
Ghazal
Ju-e-kam-ab se ek tez sa jharna hua main
Rafiq Raaz

