justuju teri tarah gham teri qurbat kya hai 
sochta rahta hun aaKHir ye mohabbat kya hai 
hum ne logon se bahut zikr suna tha lekin 
un ko dekha to ye jaana ki qayamat kya hai 
wahshi duniya hai tera pyar nahin samjhegi 
apne jazbaat dikhane ki zarurat kya hai 
ye bhi qudrat ka karishma hai ki duniya mein koi 
aaj tak ye na samajh paya ki qudrat kya hai 
tu ne duniya ki hawas dil mein basa rakkhi hai 
tere iman se baDh kar teri daulat kya hai 
ek teri zat se qaem hai wajud insan ka 
warna insan ki duniya mein haqiqat kya hai 
jism ka husn teri ruh talak hai sahil 
ye nahin ho to ye miTTi ki imarat kya hai
        Ghazal
Justuju teri tarah gham teri qurbat kya hai
Mohammad Ali Sahil

