justuju ne teri har chand thaka rakkha hai
phir bhi kya gham ki isi mein to maza rakkha hai
kuchh to apni bhi tabiat hai gurezan un se
kuchh mizaj un ka bhi bar-dosh-e-hawa rakkha hai
kya tujhe ilm nahin teri raza ki KHatir
main ne kis kis ko zamane mein KHafa rakkha hai
jab nazar uTThi ruKH-e-yar pe ja kar Thahri
jaise aankhon mein koi qibla-numa rakkha hai
kaun hun kya hun kahan hun mujhe malum nahin
zindagi tu ne ye kis moD pe la rakkha hai
nam ka aks bhi aaina-e-kirdar mein rakh
nam 'aKHlaq' sahi nam mein kya rakkha hai
Ghazal
Justuju ne teri har chand thaka rakkha hai
Akhlaque Bandvi