justuju meri kahin thi aur main bhaTka kahin
mil gai manzil mujhe to kho gaya rasta kahin
puchhta rahta hun KHud se kya use dekha kahin
aaine ke zawiyon mein kho gaya chehra kahin
mujh ko mat roko ki main itna thakan se chur hun
phir Thahar hi jaunga main ab agar Thahra kahin
muddaton ke baad phir nam ho gain aankhen meri
phir mere ehsas ke patthar mein dil dhaDka kahin
TuT kar chaha tujhe lekin ye hasrat rah gai
tujh se dil ki baat kahte tu agar milta kahin
main kisi surat nikal aaya hun apni zat se
Dar raha hun mil na jae phir wahi duniya kahin
ek hi raftar se kashti ko mat khena yahan
waqt ka dariya kahin uthla hai to gahra kahin
kyun dilasa de rahe ho muntashir karne ke baad
TuT kar phir shaKH se juDta hai ek patta kahin
Ghazal
Justuju meri kahin thi aur main bhaTka kahin
Bharat Bhushan Pant