justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe
chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe
raston ka ilm tha hum ko na samton ki KHabar
shahr-e-na-malum ki chahat magar karte rahe
hum ne KHud se bhi chhupaya aur sare shahr ko
tere jaane ki KHabar diwar-o-dar karte rahe
wo na aaega hamein malum tha is sham bhi
intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe
aaj aaya hai hamein bhi un uDanon ka KHayal
jin ko tere zoam mein be-baal-o-par karte rahe
Ghazal
Justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe
Parveen Shakir