justuju ke safar mein rahte hain
hum ki paiham KHabar mein rahte hain
hum ko kis ki nazar mein rahna tha
aur us ki nazar mein rahte hain
aarzu tum hamari mat karna
hum dua ke asar mein rahte hain
ham-nawa apna koi ban na saka
yun to paiham safar mein rahte hain
kal talak the charagh-e-rahguzar
bujh gae hum to ghar mein rahte hain
juD rahi hai amal se ye duniya
hum agar aur magar mein rahte hain
aib kyunkar hon be-hunar mein 'obaid'
aib to ba-hunar mein rahte hain
Ghazal
Justuju ke safar mein rahte hain
Obaidur Rahman