اردو हिंदी
Justuju-e-nashat-e-mubham kya | Shaahi Shayari
justuju-e-nashat-e-mubham kya

Ghazal

Justuju-e-nashat-e-mubham kya

Fani Badayuni

;

justuju-e-nashat-e-mubham kya
dil mayassar hai lazzat-e-gham kya

masti-e-hosh ke fasane hain
jashn-e-parwez o ishrat-e-jam kya

ek aalam ko dekhta hun main
ye tera dhyan hai mujassam kya

izn hangama-e-nigah na de
kya hamari bisat aur hum kya

nang-e-rahmat hai ehtiyaj-e-dua
intizar-e-gada-e-mubram kya

meri fitrat hai gosh bar aawaz
sun raha hun nawa-e-mehram kya

miT gaya nam-e-ashiqi ab aur
chahta hai wo husn-e-barham kya

kash puchho to kuchh bataen hum
hasil-e-shikwa hae baham kya

dil kamal-e-hayat hai 'fani'
dil ke mare huon ka matam kya