jurm Thahra haal se aage ka naqsha dekhna
tazgi ki aas rakhna aur sabza dekhna
aarzu karna chaman-zaron ki sabza-zar ki
aur ta-hadd-e-nazar sahra hi sahra dekhna
azm ye rakhna ki gahrai ka sina chir den
aur apne aap ko sahil pe tanha dekhna
dhup ki barish mein rahna pyas ki lahron ke sath
har sarab-e-dasht ko taswir-e-dariya dekhna
dekhne walon se koi harf-e-manzar kya kahe
aankh ki taqdir mein likhkha hai kya kya dekhna
ye alamat kaun si hai kis se puchhun ai hawa
pahli rut mein har shajar par zard patta dekhna
kaun batlaega 'ansar' aisi baaton ka jawaz
chandni mein baadban par aks-e-dariya dekhna
Ghazal
Jurm Thahra haal se aage ka naqsha dekhna
Ansar Ali Ansar