اردو हिंदी
Jurm-e-ummid ki saza hi de | Shaahi Shayari
jurm-e-ummid ki saza hi de

Ghazal

Jurm-e-ummid ki saza hi de

Nasir Kazmi

;

jurm-e-ummid ki saza hi de
mere haq mein bhi kuchh suna hi de

ishq mein hum nahin ziyaada talab
jo tera naz-e-kam-nigahi de

tu ne taron se shab ki mang bhari
mujh ko ek ashk-e-subh-gahi de

tu ne banjar zamin ko phul diye
mujh ko ek zaKHm-e-dil-kusha hi de

bastiyon ko diye hain tu ne charagh
dasht-e-dil ko bhi koi rahi de

umr bhar ki nawa-gari ka sila
ai KHuda koi ham-nawa hi de

zard-ru hain waraq KHayalon ke
ai shab-e-hijr kuchh syahi de

gar majal-e-suKHan nahin 'nasir'
lab-e-KHamosh se gawahi de