jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya 
chor jo dil mein chhupa tha aaj bahar aa gaya 
mere lafzon mein hararat mere lahje mein miThas 
jo kuchh in aankhon mein tha mere labon par aa gaya 
jin ki tabiron mein thi ek umr ki waraftagi 
phir nigahon mein unhin KHwabon ka manzar aa gaya 
shahr ke aabaad sannaTon ki wahshat dekh kar 
dil ko jaane kya hua main sham se ghar aa gaya 
pahle chadar ki hawas mein panw phailae bahut 
ab ye dukh hai panw kyun chadar se bahar aa gaya 
hum diwanon ke liye thin wusaten hi wusaten 
KHatm jab sahra hua aage samundar aa gaya 
tum ne 'baqar' dil ka darwaza khula rakkha tha kyun 
jis ko aana tha wo aaKHir dard ban kar aa gaya
        Ghazal
Jurm-e-izhaar-e-tamanna aankh ke sar aa gaya
Sajjad Baqar Rizvi

