اردو हिंदी
Jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule | Shaahi Shayari
jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule

Ghazal

Jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule

Saleem Shahid

;

jurat-e-izhaar ka uqda yahan kaise khule
maslahat ka bim dil mein hai zaban kaise khule

be-dili se hai rag-o-pai mein lahu Thahra hua
aankh mein poshida zaKHmon ka nishan kaise khule

dam-e-sahil hai safine ki asiri ka sabab
sar paTakta hun ki ab ye baadban kaise khule

harf-e-mubham ki tarah auraq-e-roz-o-shab mein hun
raaz aaKHir dushmanon ke darmiyan kaise khule

har ghaDi dastak koi deta hai andar se mujhe
sochta rahta hun bab-e-jism-o-jaan kaise khule

lafz hain shahid meri tahrir ke afsurda lab
sher mein poshida mani ka jahan kaise khule