junun to hai magar aao junun mein kho jaen
kisi ko apna banaen kisi ke ho jaen
jigar ke dagh koi kam hain raushni ke liye
main jagta hun sitaron se kah do so jaen
tulu-e-subh gham-e-zindagi ko zid ye hai
ki mere KHwab ke lamhe ghurub ho jaen
ye sogwar safina bhi rah ke kya hoga
use bhi aa ke mere naKHuda Dubo jaen
sadi sadi ke ujalon se baat hoti hai
tere KHayal ke mazi mein kyun na kho jaen
hum ahl-e-dard chaman mein isi liye aae
ki aansuon se zamin-e-chaman bhigo jaen
kisi ki yaad mein aankhen hain DabDabai hui
'shamim' bhig chali raat aao so jaen
Ghazal
Junun to hai magar aao junun mein kho jaen
Shamim Karhani