اردو हिंदी
Junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai | Shaahi Shayari
junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai

Ghazal

Junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai

Saleem Kausar

;

junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai
yahan jo kuchh nazar aata hai taswiron ki had tak hai

ghubar aasar karti hai musafir ko subuk-gami
tilism-e-manzil-e-hasti to rahgiron ki had tak hai

zamane tu ne gham ko bhi numaish kar diya aaKHir
nashat-e-girya-o-matam bhi zanjiron ki had tak hai