junun talim kuchh farma raha hai
KHirad ka sath chhuTa ja raha hai
baDhi jati hai sham-e-bazm ki lau
koi parwana shayad aa raha hai
fana ka pesh-rau is ko samajhiye
jo lamha zindagi ka ja raha hai
ilahi sharam rakhna raaz-e-dil ki
kisi ka nam lab par aa raha hai
teri raushan-jabin ka hai wo aalam
charagh-e-mah bhi sharma raha hai
nigah ne shakl tak dekhi nahin hai
pas-e-parda koi taDpa raha hai
'nihaal' aankhen uTha bahr-nazara
koi su-e-gulistan aa raha hai
Ghazal
Junun talim kuchh farma raha hai
Nihal Sevharvi